(Mithun Da)
Tumhe apna saathi banane se pahle meri jaan mujhko bahut sochna hai

kahan se main laaunga resham ki sari
yeh bangala yeh gadi nahi le sakunga
mera dil hee meri milkiyat hai
jo chaho toh main bus yahi de sakunga
magar dil ki dhadkan sunane se pahle
meri jaan mujhko bahut sochana hai

yeh ranginiyan, raahatein zindagi ki bahut kuch tumhe hans ke khona padega
kabhi meri gurbat ne aanshun diye toh tumhe bhi mere saath rona padega
magar saath tumko rulaane se pahle meri jaan mujhko bahut sochna hai.

main darta hun uss din ki rushwayion se, apni mohabbat pe duniya hanse naa.
mohabbat ka naa ho naam badnaam hamse, zamane kahin hampe taane kase naa
sitaron ki mahfil sajaane se pahle meri jaan mujhko bahut sochna hai

(Padmini kolhapure !)
muhhabbat zinhe ho gayee ho kisi se, mohhabbat ka anzam kab sochtein hain
yeh aisha suhana safar hai ki jisme, hazaaron hain naakam kab sochte hain

chirage wafa apni aankhon mein leke, mohhabbat ki raahon mein joh chla pade hain
bayaanba mein hogi ya seharaa mein hogi, kahan hogi ab saam kab sochte hain

Mohhabbat ke maaron ko ab aur yeh dil, satayengi kya takhtiya zindagi ki
zinhe thak ke neend aa gayee pathron par woh duniya ka aaraam kab sochte hain

yeh insaan kya hai khuda ke bhi aage kabhi pyar duniya mein jhukta nahi hai
mohhabbat hi jinka khuda ban gayee ho kabhi kisi ka naam kab sochte hain
pyar jhukta nahi hai

you can listen to it here and search for ‘Pyar Jhukta Nahin’ .

6 comments:

  1. how on earth did you stumble upon this song?big big hit of its times....mithoon da without the histrionics for a change!!!!!

     
  2. Too much mind blowing!
    How on earth did i miss this song ??

     
  3. now it seems tht u dont hav nething to write ,so u r now posting the lyrics of superhit ,mithunda songs....abe next time ,tumhara favourite song,gutar gutar ki likhna
    Tumhara DONST

     
  4. Nice writings...really ‘Pyar Jhukta Nahin’ .

     
  5. Mithun da ki baat hee nirali hai. char-char comment! *drooling*

    gazal mam,

    yeh movie to jab main nanha munha bachcha tha tabhi se dekhte aa raha hun but never really got a chance to listen to or rather see this song. And this summer when i went home i watched it again on TV and got to listen to it. aur main fan ban gaya. dhansu lyrics. Had been thing about writing it down ever since.

    ankit,

    hehe. srsly mind blowing, bro!

    donst..

    DONST>>> sach ugalane wali machine ban gaye ho tum. apni jaan pyari nahi lagti tumhe.

    abe gutur-gutoor ka toh video post karunga main. ek din.

    raghu,

    thanks! i wish i had written it.

     
  6. SATISH
    WOW....
    looks like you really utilized your holidays in the most productive manner :)