Hamein pata hai ki woh bahut khoobsurat hain.
Lifaafe ke liye lekin pate ki bhi jaroorat hai.
Heheh. What an opening line! Only to find that what followed was a great act of poetry with imagination. Damn these emails.
Hamne sanam ko khat likha
Khat mein likha
Aie dilruba
Dil ki gali
Shahar-e-wafaa.
Pahunche yeh khat jaane kahaan
Jaane bane kya daastaan
Us par rakibon ka yeh darr
Lag jaaye yeh unke haath gar
Kitna buraa anzaam ho
Dil muft mein badnaam ho
Aisha naa ho, aisha naa ho
Apne khuda se raat din
Maangaa kiye hum yeh dua.
Hamne sanam ko khat likha..
Peepal ka yeh patta nahi
Kaagaz ka yeh tukda nahi
Is dil ka yeh armaan hai
Ismein hamari jaan hai
Aisha gazab ho jaaye na
Raste mein yeh kho jaaye na
Hamne badi taakid ki
Daala ise jab daak mein
Yeh daak-baabu se kaha
Hamne sanam ko khat likha..
Barso jawabe-yaar ka
Dekha kiye ham raasta
Ek din woh khat wapas mila
Aur daakiye ne yeh kahaa
Is daak khane mein nahi
Koi sanam nahi is naam ka
Koi gali is naam ki
Koi sahar is naam ka..
Hamne sanam ko..
Posted in: on Monday, January 14, 2008 at at 7:34 PM
forget the song....
watch the movie....SHAKTI
one of the most powerful movies add to that some towering performances by dilip kumar saab and amit (hain) bachchan.
ofcourse, i have watched the movie. in pieces though. phir se dekhna padega.
amit (hain) bachchan! hehe..